Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

panw mein tare bandh jaen to dariya daman hoga

Arsalan Rathor

panw mein tare bandh jaen to dariya daman hoga

Arsalan Rathor

MORE BYArsalan Rathor

    paañv meñ taare bañdh jaa.eñ to dariyā dāman hogā

    kin chāñdoñ nuur churā kar siina raushan hogā

    ḳhvāb ke hauzoñ ke andar hai aañsū halqa

    ġhaar se bāhar niklegā to chehra madfan hogā

    aañkh falak pakḌegī par haa.e qadmoñ qismat

    paañv se jangal lipTeñge aur sar par sāvan hogā

    barf pahāḌoñ par pighlegī siine meñ ummīdeñ

    sard havāoñ meñ nagrī saañs īñdhan hogā

    dard kanThā chanchal naarī ko būḌhā kar degā

    phuul se māthe chūḌī meñ zaḳhm roġhan hogā

    panw mein tare bandh jaen to dariya daman hoga

    kin chandon ka nur chura kar sina raushan hoga

    KHwab ke hauzon ke andar hi hai aansu ka halqa

    ghaar se bahar niklega to chehra madfan hoga

    aankh falak pakDegi par hae qadmon ki qismat

    panw se jangal lipTenge aur sar par sawan hoga

    barf pahaDon par pighlegi sine mein ummiden

    sard hawaon mein nagri ki sans ka indhan hoga

    dard ka kanTha chanchal nari ko buDha kar dega

    phul se mathe ki chuDi mein zaKHm ka roghan hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now