Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pas jis ke na tha kuchh raKHt-e-safar main hi tha

Iqbal Anjum

pas jis ke na tha kuchh raKHt-e-safar main hi tha

Iqbal Anjum

MORE BYIqbal Anjum

    paas jis ke na thā kuchh raḳht-e-safar maiñ thā

    raat ke dasht meñ be-ḳhauf-o-ḳhatar maiñ thā

    duur tak dā.era-dar-dā.era ġharqāb huā

    sīna-e-shab meñ siyāhī bhañvar maiñ thā

    baar se aaj har ik shāḳh jhukī jaatī hai

    chaman meñ kabhī be-barg-o-samar maiñ thā

    mere atrāf sadāoñ ghanā jañgal thā

    tez āñdhī meñ bikharne ko magar maiñ thā

    jaane vo kaun thā maiñ DhūñD rahā thā jis ko

    jo mire sāmne aayā thā agar maiñ thā

    pas jis ke na tha kuchh raKHt-e-safar main hi tha

    raat ke dasht mein be-KHauf-o-KHatar main hi tha

    dur tak daera-dar-daera gharqab hua

    sina-e-shab mein siyahi ka bhanwar main hi tha

    bar se aaj har ek shaKH jhuki jati hai

    ya chaman mein kabhi be-barg-o-samar main hi tha

    mere atraf sadaon ka ghana jangal tha

    tez aandhi mein bikharne ko magar main hi tha

    jaane wo kaun tha main DhunD raha tha jis ko

    jo mere samne aaya tha agar main hi tha

    Source :
    • Book : سکوت دشت (Pg. 63)
    • Author : اقبال انجم
    • Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now