paya maza ye humne apni nigah laDi ka
paayā mazā ye ham ne apnī nigah laḌī kā
jo dekhnā paḌā hai ġhussa ghaḌī ghaḌī kā
'uqda to nāznīñ ke abrū kā ham ne kholā
ab kholnā hai us kī ḳhātir kī gul-jhaḌī kā
is rashk-e-mah ke aage kyā qadr hai parī kī
kab pahuñche husn us ko aisī girī-paḌī kā
is gul-badan ne hañs kar ik le ke shāḳh-e-nasrīñ
ham se kahā ki kiije kuchh vasf is chhaḌī kā
jab ham 'nazīr' bole ai jaañ ye vo chhaḌī hai
dil TūTtā hai jis par juuñ phuul pankhuḌī kā
paya maza ye hum ne apni nigah laDi ka
jo dekhna paDa hai ghussa ghaDi ghaDi ka
'uqda to naznin ke abru ka hum ne khola
ab kholna hai us ki KHatir ki gul-jhaDi ka
is rashk-e-mah ke aage kya qadr hai pari ki
kab pahunche husn us ko aisi giri-paDi ka
is gul-badan ne hans kar ek le ke shaKH-e-nasrin
hum se kaha ki kije kuchh wasf is chhaDi ka
jab hum 'nazir' bole ai jaan ye wo chhaDi hai
dil TuTta hai jis par jun phul pankhuDi ka
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.