Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pachhtaoge phir humse shararat nahin achchhi

Bekhud Dehlvi

pachhtaoge phir humse shararat nahin achchhi

Bekhud Dehlvi

MORE BYBekhud Dehlvi

    pachhtāoge phir ham se sharārat nahīñ achchhī

    ye shoḳh-nigāhī dam-e-ruḳhsat nahīñ achchhī

    sach ye hai ki ghar se tire jannat nahīñ achchhī

    hūroñ tire sāmne sūrat nahīñ achchhī

    bhūle se kahā maan bhī lete haiñ kisī

    har baat meñ takrār aadat nahīñ achchhī

    kyuuñ kal tarah vasl meñ tashvīsh hai itnī

    tum aaj bhī kah do ki tabī.at nahīñ achchhī

    jab itnī samajh hai to samajh kyuuñ nahīñ jaate

    maiñ bhī yahī kahtā huuñ ki hujjat nahīñ achchhī

    hūroñ taraf aañkh uThā kar bhī na dekhā

    kyuuñ ab bhī kahoge tirī nīyat nahīñ achchhī

    pahuñchā hai qayāmat meñ bhī afsāna-e-ulfat

    itnī bhī kisī baat shohrat nahīñ achchhī

    ham aib samajhte haiñ har ik apne hunar ko

    kyā kījiye majbūr haiñ qismat nahīñ achchhī

    mil aa.iye dekh aa.iye aaj aap bhī kar

    'beḳhud' ka.ī roz se hālat nahīñ achchhī

    pachhtaoge phir hum se shararat nahin achchhi

    ye shoKH-nigahi dam-e-ruKHsat nahin achchhi

    sach ye hai ki ghar se tere jannat nahin achchhi

    huron ki tere samne surat nahin achchhi

    bhule se kaha man bhi lete hain kisi ka

    har baat mein takrar ki aadat nahin achchhi

    kyun kal ki tarah wasl mein tashwish hai itni

    tum aaj bhi kah do ki tabiat nahin achchhi

    jab itni samajh hai to samajh kyun nahin jate

    main bhi yahi kahta hun ki hujjat nahin achchhi

    huron ki taraf aankh uTha kar bhi na dekha

    kyun ab bhi kahoge teri niyat nahin achchhi

    pahuncha hai qayamat mein bhi afsana-e-ulfat

    itni bhi kisi baat ki shohrat nahin achchhi

    hum aib samajhte hain har ek apne hunar ko

    kya kijiye majbur hain qismat nahin achchhi

    mil aaiye dekh aaiye aaj aap bhi ja kar

    'beKHud' ki kai roz se haalat nahin achchhi

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    pachhtaoge phir humse shararat nahin achchhi Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now