Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paDe jo kaam to dil se kisi ka sath na de

Anwar Shadani

paDe jo kaam to dil se kisi ka sath na de

Anwar Shadani

MORE BYAnwar Shadani

    paḌe jo kaam to dil se kisī saath na de

    vo aadmī nahīñ jo aadmī saath na de

    charāġh vo hai añdheroñ ko jo kare raushan

    vo kyā charāġh hai jo raushnī saath na de

    chaman meñ ab to ye hālat hai ham-nashīnoñ

    ki jaise koī qafas meñ kisī saath na de

    añdherā chhā nahīñ saktā kabhī ujāle par

    tumhārī zulf agar tīrgī saath na de

    ḳhudā kare o mire dil ko toḌne vaale

    tirā shabāb tirī nāzukī saath na de

    ġham-e-zamāna se Takrā sake ye nā-mumkin

    agar sharāb mirī zindagī saath na de

    agar kahīñ unheñ be-parda dekh le 'anvar'

    yaqīñ hai chāñd kabhī chāñdnī saath na de

    paDe jo kaam to dil se kisi ka sath na de

    wo aadmi nahin jo aadmi ka sath na de

    charagh wo hai andheron ko jo kare raushan

    wo kya charagh hai jo raushni ka sath na de

    chaman mein ab to ye haalat hai ham-nashinon ki

    ki jaise koi qafas mein kisi ka sath na de

    andhera chha nahin sakta kabhi ujale par

    tumhaari zulf agar tirgi ka sath na de

    KHuda kare o mere dil ko toDne wale

    tera shabab teri nazuki ka sath na de

    gham-e-zamana se Takra sake ye na-mumkin

    agar sharab meri zindagi ka sath na de

    agar kahin unhen be-parda dekh le 'anwar'

    yaqin hai chand kabhi chandni ka sath na de

    Source:

    Ghazal Rang (Pg. 31)

    • Author: Anwar Shadani
      • Publisher: Raja Offset, Nehru Nagar, Indore
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now