Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paDta tha is KHayal ka saya yahin kahin

Inam Nadeem

paDta tha is KHayal ka saya yahin kahin

Inam Nadeem

MORE BYInam Nadeem

    paḌtā thā is ḳhayāl saayā yahīñ kahīñ

    bahtā thā mere ḳhvāb dariyā yahīñ kahīñ

    jaane kahāñ hai aaj magar pichhlī dhuup meñ

    dekhā thā ek abr TukḌā yahīñ kahīñ

    dekho yahīñ pe hoñgī tamannā kirchiyāñ

    TuuTā thā e'tibār shīsha yahīñ kahīñ

    kankar uThā ke dekh rahā huuñ ki ek din

    rakkhā thā maiñ ne dil nagīna yahīñ kahīñ

    ik roz be-ḳhayālī meñ barbād ho ga.ī

    ābād thī ḳhayāl duniyā yahīñ kahīñ

    paDta tha is KHayal ka saya yahin kahin

    bahta tha mere KHwab ka dariya yahin kahin

    jaane kahan hai aaj magar pichhli dhup mein

    dekha tha ek abr ka TukDa yahin kahin

    dekho yahin pe hongi tamanna ki kirchiyan

    TuTa tha e'tibar ka shisha yahin kahin

    kankar uTha ke dekh raha hun ki ek din

    rakkha tha main ne dil ka nagina yahin kahin

    ek roz be-KHayali mein barbaad ho gai

    aabaad thi KHayal ki duniya yahin kahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now