Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahaD hone ka sara ghurur kanp uTha

Shahid Jamal

pahaD hone ka sara ghurur kanp uTha

Shahid Jamal

MORE BYShahid Jamal

    pahāḌ hone saarā ġhurūr kaañp uThā

    bas ik zarā tajallī se tuur kaañp uThā

    havā ne jaise tevar dikhā.e haiñ apne

    nikal rahā thā diye se jo nuur kaañp uThā

    paḌhī jo jabr-o-tashaddud dāstān kahīñ

    kabhī shu.ūr kabhī lā-shu.ūr kaañp uThā

    laboñ pe aa na sakī apne dil ek bhī baat

    ki jab bhī pahuñchā maiñ us ke huzūr kaañp uThā

    sazā kuchh aisī milī ek be-qusūr ko aaj

    huā thā asl meñ jis se qusūr kaañp uThā

    pahaD hone ka sara ghurur kanp uTha

    bas ek zara si tajalli se tur kanp uTha

    hawa ne jaise hi tewar dikhae hain apne

    nikal raha tha diye se jo nur kanp uTha

    paDhi jo jabr-o-tashaddud ki dastan kahin

    kabhi shuur kabhi la-shuur kanp uTha

    labon pe aa na saki apne dil ki ek bhi baat

    ki jab bhi pahuncha main us ke huzur kanp uTha

    saza kuchh aisi mili ek be-qusur ko aaj

    hua tha asl mein jis se qusur kanp uTha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now