Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paheli kaun bujhega jawab-e-naz-e-jaanan ki

Jurm Mohammadabadi

paheli kaun bujhega jawab-e-naz-e-jaanan ki

Jurm Mohammadabadi

MORE BYJurm Mohammadabadi

    pahelī kaun būjhegā javāb-e-nāz-e-jānāñ

    ham us huuñ ko samajhte haiñ nahīñ us ne haañ

    azal se ye amānat hai junūn-e-fitna-sāmāñ

    ḳhirad ke haath lag saktī nahīñ dhajjī garebāñ

    agar maujoñ se Dar ke ham bhī sāhil pe rah jaate

    to duniyā par haqīqat hashr tak khultī na tūfāñ

    giraftār-e-balā ke haq meñ vo zanjīr bantā hai

    jo naala niiñd uḌā detā hai zindāñ ke nigahbāñ

    kahe kuchh to bharam jaa.e jo chup baiThe to huuk uTThe

    zarūrat maut ban jaatī hai ġhairat-dār insāñ

    kuchh aise phuul ham ne bhī chune the apne dāman meñ

    jo apne saath raunaq le ga.e gulzār-e-imkāñ

    vo dīvāna mire nazdīk hoshyāroñ se achchhā hai

    haqīqat jis ne kuchh samjhī nahīñ tār-e-rag-e-jāñ

    ye majbūrī tamāshā chashm-e-ālam meñ banā varna

    ḳhushī se dhajjiyāñ koī uḌātā hai garebāñ

    chaman kyā hai namūna mere ik rañgīñ tasavvur

    nashāt-e-kār ne sūrat badal hai bayābāñ

    nikhāreñge yahī kuchh phuul aur kāñTe rañgat ko

    phaTe dāman pe jo tārīḳh likkheñge gulistāñ

    muqaddar meñ jo thī ai 'jurm' qaid-e-zīst saḳhtī

    anāsir ke ravābit ban ga.e dīvār-o-zindāñ

    paheli kaun bujhega jawab-e-naz-e-jaanan ki

    hum us hun ko samajhte hain nahin ki us ne ya han ki

    azal se ye amanat hai junun-e-fitna-saman ki

    KHirad ke hath lag sakti nahin dhajji gareban ki

    agar maujon se Dar ke hum bhi sahil hi pe rah jate

    to duniya par haqiqat hashr tak khulti na tufan ki

    giraftar-e-bala ke haq mein wo zanjir banta hai

    jo nala nind uDa deta hai zindan ke nigahban ki

    kahe kuchh to bharam jae jo chup baiThe to huk uTThe

    zarurat maut ban jati hai ghairat-dar insan ki

    kuchh aise phul hum ne bhi chune the apne daman mein

    jo apne sath raunaq le gae gulzar-e-imkan ki

    wo diwana mere nazdik hoshyaron se achchha hai

    haqiqat jis ne kuchh samjhi nahin tar-e-rag-e-jaan ki

    ye majburi tamasha chashm-e-alam mein bana warna

    KHushi se dhajjiyan koi uData hai gareban ki

    chaman kya hai namuna mere ek rangin tasawwur ka

    nashat-e-kar ne surat badal di hai bayaban ki

    nikhaarenge yahi kuchh phul aur kanTe ki rangat ko

    phaTe daman pe jo tariKH likkhenge gulistan ki

    muqaddar mein jo thi ai 'jurm' qaid-e-zist ki saKHti

    anasir ke rawabit ban gae diwar-o-zindan ki

    Source:

    Shola-e-Rangeen (Pg. 85)

    • Author: Jurm Mohammadabadi
      • Publisher: Ghalib Academy, Banaras
      • Year of Publication: 1961
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now