pahle pahle meri dua hua wo
pahle pahle mirī du'ā huā vo
phir du'āoñ se māvarā huā vo
tū kabhī dekh din nikalte hue
hū-ba-hū jaise jāgtā huā vo
ḳhud ko karnā paḌā mujhe zangār
tab kahīñ jā ke aa.ina huā vo
āḳhirash ḳhvāb meñ chalā aaya
mere hī ḳhvāb dekhtā huā vo
merā kirdār māñgtā huā maiñ
aur mohabbat ko bāñTtā huā vo
pahle pahle meri du'a hua wo
phir du'aon se mawara hua wo
tu kabhi dekh din nikalte hue
hu-ba-hu jaise jagta hua wo
KHud ko karna paDa mujhe zangar
tab kahin ja ke aaina hua wo
aaKHirash KHwab mein chala aaya
mere hi KHwab dekhta hua wo
mera kirdar mangta hua main
aur mohabbat ko banTta hua wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.