Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle to jaanchta hun tumhaari nazar ko main

Vafa Barahi

pahle to jaanchta hun tumhaari nazar ko main

Vafa Barahi

MORE BYVafa Barahi

    pahle to jāñchtā huuñ tumhārī nazar ko maiñ

    phir dekhtā huuñ ġhaur se apne jigar ko maiñ

    ab dil ġham uThā.ūñ ki ro.uuñ jigar ko maiñ

    mashkūk rahā huuñ kisī nazar ko maiñ

    sun kar navā-e-ishq-o-mohabbat iltijā

    lo chheḌtā huuñ aaj rabāb-e-asar ko maiñ

    terī tarah karūñgā garebāñ ko chāk-chāk

    detā huuñ ye payām tulū-e-sahar ko maiñ

    jis rahguzar pe ishq ke aañsū Dhalak paḌe

    hasrat se tak rahā huuñ usī rahguzar ko maiñ

    rahbar banā thā vādī-e-ġhurbat meñ jo kabhī

    manzil pe DhūñDhtā huuñ usī rāhbar ko maiñ

    jis se husūl-e-aish-o-masarrat muhāl hai

    suntā huuñ fart-e-yās se aisī ḳhabar ko maiñ

    maanā ki apne dil pe mujhe iḳhtiyār hai

    lekin dabā ke rakh na sakūñgā nazar ko maiñ

    ai tīr-e-nāz-e-yār tavajjoh se kaam le

    be-rang rahā huuñ nuqūsh-e-jigar ko maiñ

    dil ke alāva aur mire paas kuchh nahīñ

    ye de ke bhejtā huuñ 'vafā' nāma-bar ko maiñ

    pahle to jaanchta hun tumhaari nazar ko main

    phir dekhta hun ghaur se apne jigar ko main

    ab dil ka gham uThaun ki roun jigar ko main

    mashkuk pa raha hun kisi ki nazar ko main

    sun kar nawa-e-ishq-o-mohabbat ki iltija

    lo chheDta hun aaj rabab-e-asar ko main

    teri tarah karunga gareban ko chaak-chaak

    deta hun ye payam tulu-e-sahar ko main

    jis rahguzar pe ishq ke aansu Dhalak paDe

    hasrat se tak raha hun usi rahguzar ko main

    rahbar bana tha wadi-e-ghurbat mein jo kabhi

    manzil pe DhunDhta hun usi rahbar ko main

    jis se husul-e-aish-o-masarrat muhaal hai

    sunta hun fart-e-yas se aisi KHabar ko main

    mana ki apne dil pe mujhe iKHtiyar hai

    lekin daba ke rakh na sakunga nazar ko main

    ai tir-e-naz-e-yar tawajjoh se kaam le

    be-rang pa raha hun nuqush-e-jigar ko main

    dil ke alawa aur mere pas kuchh nahin

    ye de ke bhejta hun 'wafa' nama-bar ko main

    Source:

    Nikhat-e-Gul (Pg. 23)

    • Author: Vafa Barahi
      • Publisher: Pustak Bhandar, Patna
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now