Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahle to shahr bhar mein andhera kiya gaya

Hafeez Shahid

pahle to shahr bhar mein andhera kiya gaya

Hafeez Shahid

MORE BYHafeez Shahid

    pahle to shahr bhar meñ añdherā kiyā gayā

    phir ham se raushnī taqāzā kiyā gayā

    pahle to sāzishoñ se hameñ ga.ī shikast

    phir ḳhuub is shikast charchā kiyā gayā

    ik shaḳhs ke liye mirī bastī rāsta

    kachche makāñ girā ke kushāda kiyā gayā

    pahle to mujh ko raah batā.ī ga.ī ġhalat

    phir merī gumrahī tamāshā kiyā gayā

    duniyā na thī jo pyaar ke qābil to kis liye

    ham ko asīr-e-ḳhvāhish-e-duniyā kiyā gayā

    is gulshan-e-hayāt meñ rañg-e-ḳhizāñ ke saath

    ik mausam-e-bahār bhī paidā kiyā gayā

    āñkhoñ ko āñsuoñ ke javāhar diye ga.e

    dil ke sipurd ġham ḳhazāna kiyā gayā

    duniyā hamāre qatl ko kahtī hai ḳhud-kushī

    marne ke baa'd bhī hameñ rusvā kiyā gayā

    'shāhid' likhā gayā thā hamāre ḳhuun se

    tasnīf jab vafā sahīfa kiyā gayā

    pahle to shahr bhar mein andhera kiya gaya

    phir hum se raushni ka taqaza kiya gaya

    pahle to sazishon se hamein di gai shikast

    phir KHub is shikast ka charcha kiya gaya

    ek shaKHs ke liye meri basti ka rasta

    kachche makan gira ke kushada kiya gaya

    pahle to mujh ko rah batai gai ghalat

    phir meri gumrahi ka tamasha kiya gaya

    duniya na thi jo pyar ke qabil to kis liye

    hum ko asir-e-KHwahish-e-duniya kiya gaya

    is gulshan-e-hayat mein rang-e-KHizan ke sath

    ek mausam-e-bahaar bhi paida kiya gaya

    aankhon ko aansuon ke jawahar diye gae

    dil ke sipurd gham ka KHazana kiya gaya

    duniya hamare qatl ko kahti hai KHud-kushi

    marne ke ba'd bhi hamein ruswa kiya gaya

    'shahid' likha gaya tha hamare hi KHun se

    tasnif jab wafa ka sahifa kiya gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now