Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahli fursat mein jhuT bolna hai

Abid Maroof Mughal

pahli fursat mein jhuT bolna hai

Abid Maroof Mughal

MORE BYAbid Maroof Mughal

    pahlī fursat meñ jhuuT bolnā hai

    ya.anī ujlat meñ jhuuT bolnā hai

    kyā mohabbat meñ bhī munāfiq ho

    kyā mohabbat meñ jhuuT bolnā hai

    us sangat se baaz aa jaao

    jis sangat meñ jhuuT bolnā hai

    nāmvar ho adab qabīle ke

    is liyāqat meñ jhuuT bolnā hai

    bas mohabbat paas rakh lenā

    gar muravvat meñ jhuuT bolnā hai

    soch lo rizq ruuTh jā.egā

    gar sharārat meñ jhuuT bolnā hai

    faisla sach ho nahīñ saktā

    gar haqīqat meñ jhuuT bolnā hai

    ghar dahlīz se to nikle nahīñ

    kis chāhat meñ jhuuT bolnā hai

    us ke chehre meñ rang bharte hue

    apnī rangat meñ jhuuT bolnā hai

    āsmāñ chhū rahe ho tum aabid

    itnī shohrat meñ jhuuT bolnā hai

    hijr raat sach kaho 'ābid'

    tum ko ḳhalvat meñ jhuuT bolnā hai

    pahli fursat mein jhuT bolna hai

    yani ujlat mein jhuT bolna hai

    kya mohabbat mein bhi munafiq ho

    kya mohabbat mein jhuT bolna hai

    us ki sangat se baz aa jao

    jis ki sangat mein jhuT bolna hai

    namwar ho adab qabile ke

    is liyaqat mein jhuT bolna hai

    bas mohabbat ka pas rakh lena

    gar murawwat mein jhuT bolna hai

    soch lo rizq ruTh jaega

    gar shararat mein jhuT bolna hai

    faisla sach ka ho nahin sakta

    gar haqiqat mein jhuT bolna hai

    ghar ki dahliz se to nikle nahin

    kis ki chahat mein jhuT bolna hai

    us ke chehre mein rang bharte hue

    apni rangat mein jhuT bolna hai

    aasman chhu rahe ho tum aabid

    itni shohrat mein jhuT bolna hai

    hijr ki raat sach kaho 'abid'

    tum ko KHalwat mein jhuT bolna hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now