Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahli kiran ke war se pahle ki baat thi

Shivendra Singh

pahli kiran ke war se pahle ki baat thi

Shivendra Singh

MORE BYShivendra Singh

    pahlī kiran ke vaar se pahle baat thī

    dukh sub.h-e-zar-nigār se pahle baat thī

    āñkheñ bachī kahāñ haiñ ki ye log dekh paa.eñ

    bīnā.ī is ġhubār se pahle baat thī

    har samt maiñ huuñ aur mere hone hai ḳhabar

    duniyā visāl-e-yār se pahle baat thī

    sun lafz-e-intizār hai aslan sadā-e-kun

    tanhā.ī intizār se pahle baat thī

    ham the apnā rog bhī apnā ilaaj bhī

    ye ishq ke ḳhumār se pahle baat thī

    duniyā thī ham pe bojh ki duniyā pe bojh ham

    ye baat dil pe baar se pahle baat thī

    kohna udāsiyoñ meñ khile qahqahe the ham

    ye dukh ke regzār se pahle baat thī

    pahli kiran ke war se pahle ki baat thi

    dukh subh-e-zar-nigar se pahle ki baat thi

    aankhen bachi kahan hain ki ye log dekh paen

    binai is ghubar se pahle ki baat thi

    har samt main hun aur mere hone ki hai KHabar

    duniya visal-e-yar se pahle ki baat thi

    sun lafz-e-intizar hai aslan sada-e-kun

    tanhai intizar se pahle ki baat thi

    hum hi the apna rog bhi apna ilaj bhi

    ye ishq ke KHumar se pahle ki baat thi

    duniya thi hum pe bojh ki duniya pe bojh hum

    ye baat dil pe bar se pahle ki baat thi

    kohna udasiyon mein khile qahqahe the hum

    ye dukh ke regzar se pahle ki baat thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now