Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahna bhi kuchh zamane ne aisa libas hai

Dawood Khan Raaz

pahna bhi kuchh zamane ne aisa libas hai

Dawood Khan Raaz

MORE BYDawood Khan Raaz

    pahnā bhī kuchh zamāne ne aisā libās hai

    māhaul pe zamāne ke ġhairat udaas hai

    vo bhuul jaa.eñ ham ko to hai un zarf ye

    ham ko to ab bhī un mohabbat paas hai

    chehre se apne zulf haTā dījiye zarā

    betāb dil hai diid āñkhoñ ko pyaas hai

    ab to tumhāre ġham ke sahāre hai zindagī

    ham ko ḳhushī zamāne aa.ī na raas hai

    dil toḌne se pahle zarā ye bhī sochiye

    har lamha maut zindagī ke aas paas hai

    samjhegā 'rāz' kaun yahāñ tere dard ko

    kis nigāh itnī qayāfa-shanās hai

    pahna bhi kuchh zamane ne aisa libas hai

    mahaul pe zamane ke ghairat udas hai

    wo bhul jaen hum ko to hai un ka zarf ye

    hum ko to ab bhi un ki mohabbat ka pas hai

    chehre se apne zulf haTa dijiye zara

    betab dil hai did ki aankhon ko pyas hai

    ab to tumhaare gham ke sahaare hai zindagi

    hum ko KHushi zamane ki aai na ras hai

    dil toDne se pahle zara ye bhi sochiye

    har lamha maut zindagi ke aas pas hai

    samjhega 'raaz' kaun yahan tere dard ko

    kis ki nigah itni qayafa-shanas hai

    Source:

    Ghazlistan-e-Barar (Pg. 134)

      • Publisher: Sajid Urdu Press, Akola
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now