Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahna libas ne hai ek ik ang dekhna

Shahid Shaidai

pahna libas ne hai ek ik ang dekhna

Shahid Shaidai

MORE BYShahid Shaidai

    pahnā libās ne hai ik ik ang dekhnā

    jism-e-hasīñ pe pairahan-e-tang dekhnā

    naddī chaḌhī ki gaañv gorī javāñ huī

    paanī meñ ghul ga.e haiñ ka.ī rang dekhnā

    parbat shaam Dūbtā sūraj shafaq rang

    sonā ugal rahī hai rag-e-sang dekhnā

    jaatī rutoñ sūrat-e-arzañg bhuul kar

    aate samay paikar-e-sad-rang dekhnā

    aahaT suno havāoñ dahlīz-e-shām par

    chup fazāoñ meñ bhī hai āhang dekhnā

    dilchasp is qadar tire chehre hai kitāb

    bhūlā huā huuñ dahr farhang dekhnā

    bastī meñ kaun aa gayā jangal ko chhoḌ kar

    pīchhe lage hue haiñ sag-o-sang dekhnā

    pahna libas ne hai ek ek ang dekhna

    jism-e-hasin pe pairahan-e-tang dekhna

    naddi chaDhi ki ganw ki gori jawan hui

    pani mein ghul gae hain kai rang dekhna

    parbat ki sham Dubta suraj shafaq ka rang

    sona ugal rahi hai rag-e-sang dekhna

    jati ruton ki surat-e-arzang bhul kar

    aate samay ka paikar-e-sad-rang dekhna

    aahaT suno hawaon ki dahliz-e-sham par

    chup ki fazaon mein bhi hai aahang dekhna

    dilchasp is qadar tere chehre ki hai kitab

    bhula hua hun dahr ki farhang dekhna

    basti mein kaun aa gaya jangal ko chhoD kar

    pichhe lage hue hain sag-o-sang dekhna

    Source:

    Waraq Waraq (Pg. 48)

    • Author: Shahid Shaidai
      • Publisher: Nazeer Ahmad Tajwar
      • Year of Publication: 1975
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now