Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pahunch kar shab ki sarhad par ujala Dub jata hai

Ghayas Anjum

pahunch kar shab ki sarhad par ujala Dub jata hai

Ghayas Anjum

MORE BYGhayas Anjum

    pahuñch kar shab sarhad par ujālā Duub jaatā hai

    na ho jis koī vo be-sahārā Duub jaatā hai

    jise gaatā hai koī barbat-e-sad-chāk-dāmāñ par

    fazā-e-be-yaqīnī meñ vo naġhma Duub jaatā hai

    yahāñ to dil bāteñ haiñ hamārā tajraba hai ye

    jo sat.h-e-āb par rakhiye to paisa Duub jaatā hai

    ta.alluq der se mazbūt kartā hai jaḌeñ apnī

    zarā chuuk se sadiyoñ rishta Duub jaatā hai

    tirī yādoñ duniyā se kabhī jo duur hotā huuñ

    udāsī gher letī hai nazārā Duub jaatā hai

    na jaane kyā ho tere shahr meñ ab ke dekhūñgā

    yahāñ to apnī qismat sitāra Duub jaatā hai

    ubal paḌtā hai aafat kahīñ laavā to phir 'anjum'

    ġham-o-andoh meñ mā'sūm chehra Duub jaatā hai

    pahunch kar shab ki sarhad par ujala Dub jata hai

    na ho jis ka koi wo be-sahaara Dub jata hai

    jise gata hai koi barbat-e-sad-chaak-daman par

    faza-e-be-yaqini mein wo naghma Dub jata hai

    yahan to dil ki baaten hain hamara tajraba hai ye

    jo sath-e-ab par rakhiye to paisa Dub jata hai

    talluq der se mazbut karta hai jaDen apni

    zara si chuk se sadiyon ka rishta Dub jata hai

    teri yaadon ki duniya se kabhi jo dur hota hun

    udasi gher leti hai nazara Dub jata hai

    na jaane kya ho tere shahr mein ab ja ke dekhunga

    yahan to apni qismat ka sitara Dub jata hai

    ubal paDta hai aafat ka kahin lawa to phir 'anjum'

    gham-o-andoh mein ma'sum chehra Dub jata hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now