aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paigham zindagi ne diya maut ka mujhe

Safi Lakhnavi

paigham zindagi ne diya maut ka mujhe

Safi Lakhnavi

MORE BYSafi Lakhnavi

    paiġhām zindagī ne diyā maut mujhe

    marne ke intizār meñ jiinā paḌā mujhe

    is inqalāb bhī koī had hai dosto

    nā-āshnā samajhte haiñ ab āshnā mujhe

    kashtī pahuñch sakegī ye sāhil-e-murād

    dhokā na de ḳhudā ke liye ḳhudā mujhe

    vo tūl-e-umr jis meñ na ho lutf-e-zindagī

    mil jaa.e misl-e-ḳhizr to kyā fā.eda mujhe

    duuñ terā saath umr-e-ravāñ kis tarīq se

    āñkheñ dikhā rahe haiñ tire naqsh mujhe

    taḳhlīq-e-kā.enāt ko sochā kiyā magar

    kuchh ibtidā milī na 'safī' intihā mujhe

    paigham zindagi ne diya maut ka mujhe

    marne ke intizar mein jina paDa mujhe

    is inqalab ki bhi koi had hai dosto

    na-ashna samajhte hain ab aashna mujhe

    kashti pahunch sakegi ye ta sahil-e-murad

    dhoka na de KHuda ke liye na KHuda mujhe

    wo tul-e-umr jis mein na ho lutf-e-zindagi

    mil jae misl-e-KHizr to kya faeda mujhe

    dun tera sath umr-e-rawan kis tariq se

    aankhen dikha rahe hain tere naqsh pa mujhe

    taKHliq-e-kaenat ko socha kiya magar

    kuchh ibtida mili na 'safi' intiha mujhe

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 108)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now