Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paiham diya pyala-e-mai barmala diya

Hasrat Mohani

paiham diya pyala-e-mai barmala diya

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    paiham diyā pyāla-e-mai barmalā diyā

    saaqī ne iltifāt dariyā bahā diyā

    us hīla-jū ne vasl shab ham se ruuTh kar

    nairañg-e-rozgār aalam dikhā diyā

    allāh bahār rañg afrīniyāñ

    sehn-e-chaman ko taḳhta-e-jannat banā diyā

    ab vo hujūm-e-shauq sarmastiyāñ kahāñ

    māyūsi-e-firāq ne dil bujhā diyā

    'hasrat' ye vo ġhazal hai jise sun ke sab kaheñ

    'momin' se apne rañg ko ne milā diyā

    paiham diya pyala-e-mai barmala diya

    saqi ne iltifat ka dariya baha diya

    us hila-ju ne wasl ki shab hum se ruTh kar

    nairang-e-rozgar ka aalam dikha diya

    allah ri bahaar ki rang afriniyan

    sehn-e-chaman ko taKHta-e-jannat bana diya

    ab wo hujum-e-shauq ki sarmastiyan kahan

    mayusi-e-firaq ne dil hi bujha diya

    'hasrat' ye wo ghazal hai jise sun ke sab kahen

    'momin' se apne rang ko tu ne mila diya

    RECITATIONS

    Khalid Mubashshir

    Khalid Mubashshir,

    Khalid Mubashshir

    paiham diya pyala-e-mai barmala diya Khalid Mubashshir

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now