Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paikan jigar-pasand hai KHanjar gulu-pasand

Rasikh Dehlvi

paikan jigar-pasand hai KHanjar gulu-pasand

Rasikh Dehlvi

MORE BYRasikh Dehlvi

    paikāñ jigar-pasand hai ḳhanjar gulū-pasand

    qātil mujhe qubūl kare jis ko pasand

    paikāñ ko zahr meñ bujhā le vo but kahīñ

    hogā na tauf-e-kā'ba-e-dil be-vuzū pasand

    pīr-e-muġhāñ ko DhūñDh liyā ḳhizr mil ga.e

    hai mere mudda.ā ko mirī justujū pasand

    kahte haiñ arz-e-vasl-o-tamannā-e-qatl par

    ye aarzū pasand na vo aarzū pasand

    yā-rab girāñ ho qīmat-e-dil-hā-e-āshiqāñ

    kauḌiyoñ ke mol bike chār-sū pasand

    thā ḳhud-pasandiyoñ pe mujhe naaz kis liye

    maiñ tujh ko nā-pasand rahā mujh ko pasand

    tere gale haar rahe kaash dast-e-shauq

    mazmūn-e-vasl ko hai bayāz-e-gulū pasand

    zāhid ye apnī apnī pasand apnī apnī aañkh

    zarf-e-vazū tujhe mujhe jām-o-subū pasand

    paikāñ pe jo jigar ho mujhe vo jigar qubūl

    mizhgāñ pe jo lahū ho mujhe vo lahū pasand

    ābādī-e-harīm-e-dil-o-jāñ hai jis yaad

    vo ḳhūb-rū pasand hai vo ḳhush-gulū pasand

    ye shukr maqām hai ye faḳhr jagah

    'rāsiḳh' se ḳhud-pasand ko aaya hai pasand

    paikan jigar-pasand hai KHanjar gulu-pasand

    qatil mujhe qubul kare jis ko tu pasand

    paikan ko zahr hi mein bujha le wo but kahin

    hoga na tauf-e-ka'ba-e-dil be-wuzu pasand

    pir-e-mughan ko DhunDh liya KHizr mil gae

    hai mere muddaa ko meri justuju pasand

    kahte hain arz-e-wasl-o-tamanna-e-qatl par

    ye aarzu pasand na wo aarzu pasand

    ya-rab giran ho qimat-e-dil-ha-e-ashiqan

    ya kauDiyon ke mol bike chaar-su pasand

    tha KHud-pasandiyon pe mujhe naz kis liye

    main tujh ko na-pasand raha mujh ko tu pasand

    tere gale ka haar rahe kash dast-e-shauq

    mazmun-e-wasl ko hai bayaz-e-gulu pasand

    zahid ye apni apni pasand apni apni aankh

    zarf-e-wazu tujhe mujhe jam-o-subu pasand

    paikan pe jo jigar ho mujhe wo jigar qubul

    mizhgan pe jo lahu ho mujhe wo lahu pasand

    aabaadi-e-harim-e-dil-o-jaan hai jis ki yaad

    wo KHub-ru pasand hai wo KHush-gulu pasand

    ye shukr ka maqam hai ye faKHr ki jagah

    'rasiKH' se KHud-pasand ko aaya hai tu pasand

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now