Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

paiman-e-wafa toD ke jaane ke liye aa

Badr Shamsi

paiman-e-wafa toD ke jaane ke liye aa

Badr Shamsi

MORE BYBadr Shamsi

    paimān-e-vafā toḌ ke jaane ke liye aa

    aa dil lagī aur baḌhāne ke liye aa

    pāmāl kar zulm Dhāne ke liye aa

    mujh ko mirā ehsās dilāne ke liye aa

    nau-ḳhez bahāroñ se mire dil ko sajā de

    zaḳhmoñ ke na.e phuul khilāne ke liye aa

    kab se ġham-e-hālāt rāhoñ meñ paḌā huuñ

    bhī koī Thokar lagāne ke liye aa

    phūloñ taqāzā to nahīñ dast-e-karam se

    kāñTe mirī rāhoñ meñ bichhāne ke liye aa

    ho tanz bārish bhī tavajjoh adā se

    ai abr-e-karam aag lagāne ke liye aa

    ab ḳhud ko bhulā.ūñ ki tujhe yaad karūñ maiñ

    ai hāsil-e-ġham itnā batāne ke liye aa

    likkhā hai mirā naam tire dil ke varq par

    maiñ harf-e-ġhalat huuñ to miTāne ke liye aa

    har zaḳhm dil-e-'badr' ko ik taaza ḳhalish de

    lau bujhte charāġhoñ baḌhāne ke liye aa

    paiman-e-wafa toD ke jaane ke liye aa

    aa dil ki lagi aur baDhane ke liye aa

    pamal hi kar zulm hi Dhane ke liye aa

    mujh ko mera ehsas dilane ke liye aa

    nau-KHez bahaaron se mere dil ko saja de

    zaKHmon ke nae phul khilane ke liye aa

    kab se gham-e-haalat ki rahon mein paDa hun

    tu bhi koi Thokar hi lagane ke liye aa

    phulon ka taqaza to nahin dast-e-karam se

    kanTe meri rahon mein bichhane ke liye aa

    ho tanz ki barish bhi tawajjoh ki ada se

    ai abr-e-karam aag lagane ke liye aa

    ab KHud ko bhulaun ki tujhe yaad karun main

    ai hasil-e-gham itna batane ke liye aa

    likkha hai mera nam tere dil ke warq par

    main harf-e-ghalat hun to miTane ke liye aa

    har zaKHm dil-e-'badr' ko ek taza KHalish de

    lau bujhte charaghon ki baDhane ke liye aa

    Source:

    Khwabon Ka Lahu (Pg. 148)

    • Author: Badr Shamsi
      • Publisher: Badr Shamsi
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now