Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pairahan-e-tilism-e-bahaaran ki KHair ho

Sabir Aarwi

pairahan-e-tilism-e-bahaaran ki KHair ho

Sabir Aarwi

MORE BYSabir Aarwi

    pairāhan-e-tilism-e-bahārāñ ḳhair ho

    ahl-e-junūñ ke tār-e-garebāñ ḳhair ho

    gulshan meñ aa ke lauT ga.ī hai bahār-e-nau

    sab kah rahe haiñ dasht-o-bayābāñ ḳhair ho

    saudā-e-sar yahāñ hai vahāñ nāz-e-husn hai

    is sar ḳhair dar-e-jānāñ ḳhair ho

    hone lage haiñ ahl-e-nazar ab junūñ-navāz

    ahl-e-ḳhirad tumhāre shabistāñ ḳhair ho

    un nigāh-e-nāz uThī hai isī tarah

    'sābir' tumhāre sabr ke dāmāñ ḳhair ho

    pairahan-e-tilism-e-bahaaran ki KHair ho

    ahl-e-junun ke tar-e-gareban ki KHair ho

    gulshan mein aa ke lauT gai hai bahaar-e-nau

    sab kah rahe hain dasht-o-bayaban ki KHair ho

    sauda-e-sar yahan hai wahan naz-e-husn hai

    is sar ki KHair ya dar-e-jaanan ki KHair ho

    hone lage hain ahl-e-nazar ab junun-nawaz

    ahl-e-KHirad tumhaare shabistan ki KHair ho

    un ki nigah-e-naz uThi hai isi tarah

    'sabir' tumhaare sabr ke daman ki KHair ho

    Source:

    Sarmaya-e-Ehsas (Pg. 241)

    • Author: Sabir Aarwi
      • Publisher: J T S Printers, Patna
      • Year of Publication: 1992
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now