pakaDta hai koi daman hamara
pakaḌtā hai koī dāman hamārā
ḳhushī se bhar gayā āñgan hamārā
ye bas ik ḳhvāb kī had tak hai ab tak
tumhāre haath aur kangan hamārā
hamāre haath meñ bilkul nahīñ hai
vo jis ke haath hai gulshan hamārā
hamāre vasl se phir fā.eda kyā
agar miltā nahīñ hai man hamārā
ġham apnoñ ke diye batlā.eñge ham
kahīñ mil jaa.e gar dushman hamārā
pakaDta hai koi daman hamara
KHushi se bhar gaya aangan hamara
ye bas ek KHwab ki had tak hai ab tak
tumhaare hath aur kangan hamara
hamare hath mein bilkul nahin hai
wo jis ke hath hai gulshan hamara
hamare wasl se phir faeda kya
agar milta nahin hai man hamara
gham apnon ke diye batlaenge hum
kahin mil jae gar dushman hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.