aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

palaT kar dekh lena jab sada dil ki sunai de

Naqsh Layalpuri

palaT kar dekh lena jab sada dil ki sunai de

Naqsh Layalpuri

MORE BYNaqsh Layalpuri

    palaT kar dekh lenā jab sadā dil sunā.ī de

    merī āvāz meñ shāyad mirā chehra dikhā.ī de

    mohabbat raushnī ek lamha hai magar chup hai

    kise sham-e-tamannā de kise dāġh-e-judā.ī de

    chubheñ āñkhoñ meñ bhī aur ruuh meñ bhī dard kircheñ

    mirā dil is tarah toḌo ke ā.īna badhā.ī de

    khanak uTTheñ na palkoñ par kahīñ jalte hue aañsū

    tum itnā yaad mat aao ke sannāTā duhā.ī de

    rahegā ban ke bīnā.ī vo murjhā.ī āñkhoñ meñ

    jo būḌhe baap ke hāthoñ meñ mehnat kamā.ī de

    mire dāman ko vus.at hai ne dasht-o-dariyā

    maiñ ḳhush huuñ dene vaale mujhe katrā ke raa.ī de

    kisī ko maḳhmalīñ bistar pe bhī mushkil se niiñd aa.e

    kisī ko 'naqsh' dil chain TuuTī chārpā.ī de

    palaT kar dekh lena jab sada dil ki sunai de

    meri aawaz mein shayad mera chehra dikhai de

    mohabbat raushni ka ek lamha hai magar chup hai

    kise sham-e-tamanna de kise dagh-e-judai de

    chubhen aankhon mein bhi aur ruh mein bhi dard ki kirchen

    mera dil is tarah toDo ke aaina badhai de

    khanak uTThen na palkon par kahin jalte hue aansu

    tum itna yaad mat aao ke sannaTa duhai de

    rahega ban ke binai wo murjhai si aankhon mein

    jo buDhe bap ke hathon mein mehnat ki kamai de

    mere daman ko wusat di hai tu ne dasht-o-dariya ki

    main KHush hun dene wale tu mujhe katra ke rai de

    kisi ko maKHmalin bistar pe bhi mushkil se nind aae

    kisi ko 'naqsh' dil ka chain TuTi chaarpai de

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now