aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

palken nind se bojhal hain ya ab manzar ki tab nahin

Faisal Azeem

palken nind se bojhal hain ya ab manzar ki tab nahin

Faisal Azeem

MORE BYFaisal Azeem

    palkeñ niiñd se bojhal haiñ ab manzar taab nahīñ

    kyoñ in jaltī āñkhoñ meñ ab rañg-birañge ḳhvāb nahīñ

    ik muddat se kis nātiq nok-e-zabāñ par aTkā huuñ

    maiñ ik lafz huuñ goyā vo bhī ma.anī se sairāb nahīñ

    āñkheñ haiñ ḳhār-e-muġhīlāñ chehra hai sahrā hai

    lafz bahut nāyāb haiñ pyāre dard magar nāyāb nahīñ

    merī balā se jhukne vāloñ meñ ma.abūd bhī shāmil hoñ

    lekin mere sajdoñ meñ but-ḳhāne ke ādāb nahīñ

    fitrat paiġhambar kyā jaane samjhaute bāteñ

    dariyā muḌ sakte haiñ lekin dariyā ke sailāb nahīñ

    āñkheñ aur chuneñgī kab tak āḳhir manzar kircheñ

    mujh meñ to ab jaise apnī nazroñ bhī taab nahīñ

    palken nind se bojhal hain ya ab manzar ki tab nahin

    kyon in jalti aankhon mein ab rang-birange KHwab nahin

    ek muddat se kis natiq ki nok-e-zaban par aTka hun

    main ek lafz hun goya wo bhi mani se sairab nahin

    aankhen hain ya KHar-e-mughilan chehra hai ya sahra hai

    lafz bahut nayab hain pyare dard magar nayab nahin

    meri bala se jhukne walon mein mabud bhi shamil hon

    lekin mere sajdon mein but-KHane ke aadab nahin

    fitrat ka paighambar kya jaane samjhaute ki baaten

    dariya muD sakte hain lekin dariya ke sailab nahin

    aankhen aur chunengi kab tak aaKHir manzar ki kirchen

    mujh mein to ab jaise apni nazron ki bhi tab nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now