panah hum ko azizo yahan mile na mile
panāh ham ko 'azīzo yahāñ mile na mile
yahīñ raheñge magar āshiyāñ mile na mile
musāfiro uTho kas lo kamar safar ke liye
phir is ke baa'd koī kārvāñ mile na mile
vo ham-zabān hai jī bhar ke baat karne do
hamāre shahr meñ kal ham-zabāñ mile na mile
ye apne yaar haiñ in ko dikhāo zaḳhm-e-nihāñ
phir in ke baa'd koī rāz-dāñ mile na mile
khile haiñ phuul jo do chaar hī ġhanīmat haiñ
kise ḳhabar ki kabhī gulsitāñ mile na mile
kaḌī hai dhuup magar ham ko duur jaanā hai
ki sar chhupāne kahīñ sā.ebāñ mile na mile
nishān dhuñdle ye manzil ke ab ġhanīmat haiñ
Dhale jo shaam to koī nishāñ mile na mile
jo ġham-gusār haiñ un se lipaT ke ro leñge
judā hue to koī mehrbāñ mile na mile
tamām shahr ye apne 'ziyā' haiñ aaj magar
zamīñ vatan kī ye kal be-karāñ mile na mile
panah hum ko 'azizo yahan mile na mile
yahin rahenge magar aashiyan mile na mile
musafiro uTho kas lo kamar safar ke liye
phir is ke ba'd koi karwan mile na mile
wo ham-zaban hai ji bhar ke baat karne do
hamare shahr mein kal ham-zaban mile na mile
ye apne yar hain in ko dikhao zaKHm-e-nihan
phir in ke ba'd koi raaz-dan mile na mile
khile hain phul jo do chaar hi ghanimat hain
kise KHabar ki kabhi gulsitan mile na mile
kaDi hai dhup magar hum ko dur jaana hai
ki sar chhupane kahin saeban mile na mile
nishan dhundle ye manzil ke ab ghanimat hain
Dhale jo sham to koi nishan mile na mile
jo gham-gusar hain un se lipaT ke ro lenge
juda hue to koi mehrban mile na mile
tamam shahr ye apne 'ziya' hain aaj magar
zamin watan ki ye kal be-karan mile na mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.