Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

par mere ishq ke lag jaen diwana ho jaun

Kausar Mazhari

par mere ishq ke lag jaen diwana ho jaun

Kausar Mazhari

MORE BYKausar Mazhari

    par mire ishq ke lag jaa.eñ dīvāna ho jā.ūñ

    maiñ ne sochā thā ki ik dam se fasāna ho jā.ūñ

    aap kahiye to chalūñ dasht sahrā taraf

    aur agar kahiye to dariyā ko ravāna ho jā.ūñ

    kyuuñ bhalā us ko sar-e-shām ye zahmat jaa.e

    kyuuñ na maiñ ḳhud zarā chal ke nishāna ho jā.ūñ

    rabt hai us ko zamāne se bahut suntā huuñ

    koī tarkīb karūñ maiñ bhī zamāna ho jā.ūñ

    karvaTeñ lete hue raat guzar jaa.e to kyā

    sub.h hote mohabbat tarāna ho jā.ūñ

    par mere ishq ke lag jaen diwana ho jaun

    main ne socha tha ki ek dam se fasana ho jaun

    aap kahiye to chalun dasht ki sahra ki taraf

    aur agar kahiye to dariya ko rawana ho jaun

    kyun bhala us ko sar-e-sham ye zahmat di jae

    kyun na main KHud hi zara chal ke nishana ho jaun

    rabt hai us ko zamane se bahut sunta hun

    koi tarkib karun main bhi zamana ho jaun

    karwaTen lete hue raat guzar jae to kya

    subh hote hi mohabbat ka tarana ho jaun

    Source:

    maazii ka aainda

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now