parae shahr mein apna talash karte hain
parā.e shahr meñ apnā talāsh karte haiñ
ham aa ke dasht meñ dariyā talāsh karte haiñ
hameñ nahīñ hai zarūrat tirī magar phir bhī
har ek shaḳhs meñ tujh sā talāsh karte haiñ
kulhāḌī pair pe apne hī maar lete haiñ
shajar ko kaaT ke saaya talāsh karte haiñ
purānā ho gayā hai zaḳhm be-vafā.ī kā
so koī zaḳhm nayā sā talāsh karte haiñ
yahīñ samundaroñ ke biich kho gayā hai kahīñ
qadīm ek jazīra talāsh karte haiñ
parae shahr mein apna talash karte hain
hum aa ke dasht mein dariya talash karte hain
hamein nahin hai zarurat teri magar phir bhi
har ek shaKHs mein tujh sa talash karte hain
kulhaDi pair pe apne hi mar lete hain
shajar ko kaT ke saya talash karte hain
purana ho gaya hai zaKHm be-wafai ka
so koi zaKHm naya sa talash karte hain
yahin samundaron ke bich kho gaya hai kahin
qadim ek jazira talash karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.