Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parai bhiD mein kaise juda lagunga main

Hamza Yaqub

parai bhiD mein kaise juda lagunga main

Hamza Yaqub

MORE BYHamza Yaqub

    parā.ī bhiiḌ meñ kaise judā lagūñgā maiñ

    akelā hūñgā to sab ko ḳhudā lagūñgā maiñ

    abhī to ret sūrat uḌā rahe ho mujhe

    zarā der ruko aa.ina lagūñgā maiñ

    burā lagegā koī din tujhe badan ḳhayāl

    phir ek shab tire siine se aa lagūñgā maiñ

    safar meñ tujh pe kabhī ahmiyat khulegī mirī

    bhaTakne vaale tujhe rāsta lagūñgā maiñ

    tire ġhubār ne merī chamak ghaTā hai

    havā chalegī to phir se nayā lagūñgā maiñ

    pahan liyā thā kisī roz baap juutā

    mujhe lagā thā ki aise baḌā lagūñgā maiñ

    ḳhudā-parastoñ ne kāfir samajh ke maar diyā

    pata nahīñ ki farishtoñ ko kyā lagūñgā maiñ

    shikast khā ke bhī merī anā bachī rahegī

    ujaḌte vaqt bhī us ko harā lagūñgā maiñ

    ajab nahīñ hai ki mub.ham rahe qarīb shai

    zamīñ aañkh se dekho ḳhalā lagūñgā maiñ

    hazāroñ vāqiye maiñ ne nigal liye 'hamza'

    muarraḳhīn ko ātish-kada lagūñgā maiñ

    parai bhiD mein kaise juda lagunga main

    akela hunga to sab ko KHuda lagunga main

    abhi to ret ki surat uDa rahe ho mujhe

    zara si der ruko aaina lagunga main

    bura lagega koi din tujhe badan ka KHayal

    phir ek shab tere sine se aa lagunga main

    safar mein tujh pe kabhi ahmiyat khulegi meri

    bhaTakne wale tujhe rasta lagunga main

    tere ghubar ne meri chamak ghaTa di hai

    hawa chalegi to phir se naya lagunga main

    pahan liya tha kisi roz bap ka juta

    mujhe laga tha ki aise baDa lagunga main

    KHuda-paraston ne kafir samajh ke mar diya

    pata nahin ki farishton ko kya lagunga main

    shikast kha ke bhi meri ana bachi rahegi

    ujaDte waqt bhi us ko hara lagunga main

    ajab nahin hai ki mubham rahe qarib ki shai

    zamin ki aankh se dekho KHala lagunga main

    hazaron waqiye main ne nigal liye 'hamza'

    muarraKHin ko aatish-kada lagunga main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now