Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parastish kar raha hai har jawan-o-pir patthar ki

Jauhar Badayuni

parastish kar raha hai har jawan-o-pir patthar ki

Jauhar Badayuni

MORE BYJauhar Badayuni

    parastish kar rahā hai har javān-o-pīr patthar

    sanam-ḳhāne meñ aa kar jaag uThī taqdīr patthar

    tasavvur ne but-e-kāfir dil meñ shakl khīñchī hai

    tamāsha dekhiye shīshe meñ hai tasvīr patthar

    tasavvur dil meñ ashk āñkhoñ meñ lab par mohr-e-ḳhāmoshī

    banā baiThā huuñ un yaad meñ tasvīr patthar

    adab se zāhid-e-kāba-nashīñ bhī chuum letā hai

    tumhāre dar se lag kar baḌh ga.ī tauqīr patthar

    gire āñkhoñ se itne laḳht-e-dil yāqūt ban ban kar

    nazar aatā thā tār-e-ashk ik zanjīr patthar

    na bal aa jaa.e 'jauhar' dast-e-nāzuk meñ ḳhudā-hāfiz

    idhar hai saḳhtī-e-jāñ aur udhar shamshīr patthar

    parastish kar raha hai har jawan-o-pir patthar ki

    sanam-KHane mein aa kar jag uThi taqdir patthar ki

    tasawwur ne but-e-kafir ki dil mein shakl khinchi hai

    tamasha dekhiye shishe mein hai taswir patthar ki

    tasawwur dil mein ashk aankhon mein lab par mohr-e-KHamoshi

    bana baiTha hun un ki yaad mein taswir patthar ki

    adab se zahid-e-kaba-nashin bhi chum leta hai

    tumhaare dar se lag kar baDh gai tauqir patthar ki

    gire aankhon se itne laKHt-e-dil yaqut ban ban kar

    nazar aata tha tar-e-ashk ek zanjir patthar ki

    na bal aa jae 'jauhar' dast-e-nazuk mein KHuda-hafiz

    idhar hai saKHti-e-jaan aur udhar shamshir patthar ki

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 165)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now