Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh

Shamim Hanafi

parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh

Shamim Hanafi

MORE BYShamim Hanafi

    parchhā.iyoñ baat na kar rañg-e-hāl dekh

    āñkhoñ se ab havā-o-havas ma.aal dekh

    do sher jis ke qahr jañgal meñ dhuum thī

    merī nashist-gāh meñ ab us khaal dekh

    ḳhushbū tarah guuñj uThā harf-e-āgahī

    ai dil zarā hisār-e-nafas zavāl dekh

    tujh se qarīb aa.e to apnī ḳhabar na thī

    duurī ye azaab ba-rañg-e-visāl dekh

    bujhtī huī sadā tarah ḳhud meñ Duub

    pesh-e-nigāh jab bhī tamannā jaal dekh

    palkoñ meñ tez dhuup manzar sameT le

    phir kāsa-e-badan meñ lahū ubaal dekh

    parchhaiyon ki baat na kar rang-e-haal dekh

    aankhon se ab hawa-o-hawas ka maal dekh

    do sher jis ke qahr ki jangal mein dhum thi

    meri nashist-gah mein ab us ki khaal dekh

    KHushbu ki tarah gunj uTha harf-e-agahi

    ai dil zara hisar-e-nafas ka zawal dekh

    tujh se qarib aae to apni KHabar na thi

    duri ka ye azab ba-rang-e-visal dekh

    bujhti hui sada ki tarah KHud mein Dub ja

    pesh-e-nigah jab bhi tamanna ka jal dekh

    palkon mein tez dhup ka manzar sameT le

    phir kasa-e-badan mein lahu ka ubaal dekh

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 948)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now