aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parda aankhon se haTane mein bahut der lagi

Yasmeen Hameed

parda aankhon se haTane mein bahut der lagi

Yasmeen Hameed

MORE BYYasmeen Hameed

    parda āñkhoñ se haTāne meñ bahut der lagī

    hameñ duniyā nazar aane meñ bahut der lagī

    nazar aatā hai jo vaisā nahīñ hotā koī shaḳhs

    ḳhud ko ye baat batāne meñ bahut der lagī

    ek dīvār uThā.ī thī baḌī ujlat meñ

    vahī dīvār girāne meñ bahut der lagī

    aag aag thī aur log bahut chāroñ taraf

    apnā to dhyān aane meñ bahut der lagī

    jis tarah ham kabhī honā nahīñ chāhte the

    ḳhud ko phir vaisā banāne meñ bahut der lagī

    ye huā ki har ik shai kashish maañd paḌī

    magar is moḌ pe aane meñ bahut der lagī

    parda aankhon se haTane mein bahut der lagi

    hamein duniya nazar aane mein bahut der lagi

    nazar aata hai jo waisa nahin hota koi shaKHs

    KHud ko ye baat batane mein bahut der lagi

    ek diwar uThai thi baDi ujlat mein

    wahi diwar girane mein bahut der lagi

    aag hi aag thi aur log bahut chaaron taraf

    apna to dhyan hi aane mein bahut der lagi

    jis tarah hum kabhi hona hi nahin chahte the

    KHud ko phir waisa banane mein bahut der lagi

    ye hua tu ki har ek shai ki kashish mand paDi

    magar is moD pe aane mein bahut der lagi

    RECITATIONS

    Azra Naqvi

    Azra Naqvi,

    Azra Naqvi

    Parda ankhon se hatane mein bhut der lagi Azra Naqvi

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 27.12.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now