Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parda-poshi ban gai zahmat wafa ke bab mein

Amir Hamza Saqib

parda-poshi ban gai zahmat wafa ke bab mein

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    parda-poshī ban ga.ī zahmat vafā ke baab meñ

    ġham barahna ho gayā hai jāma-e-ādāb meñ

    ab use ahl-e-fazīlat se hai nisbat aur bas

    mast rahtā thā jo mere halqa-e-ahbāb meñ

    chashmakeñ kal soḳhta-jānoñ meñ shab-bhar us pe thiiñ

    hai chamak tum meñ sivā gauhar-e-nāyāb meñ

    vo tasavvur meñ sunātā hai kahānī vasl

    hijr rūdād kahtā huuñ maiñ us ke ḳhvāb meñ

    kyā mohabbat sharī'at ḳhudā koī nahīñ

    dil ke sajde rā.egāñ haiñ dard mehrāb meñ

    parda-poshi ban gai zahmat wafa ke bab mein

    gham barahna ho gaya hai jama-e-adab mein

    ab use ahl-e-fazilat se hai nisbat aur bas

    mast rahta tha jo mere halqa-e-ahbab mein

    chashmaken kal soKHta-jaanon mein shab-bhar us pe thin

    hai chamak tum mein siwa ya gauhar-e-nayab mein

    wo tasawwur mein sunata hai kahani wasl ki

    hijr ki rudad kahta hun main us ke KHwab mein

    kya mohabbat ki shari'at ka KHuda koi nahin

    dil ke sajde raegan hain dard ki mehrab mein

    Source:

    Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 52)

    • Author: Ameer Hamza Saqib
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2019
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now