Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parda ruKH-e-fitrat se haTa kar nahin dekha

Ramz Azimabadi

parda ruKH-e-fitrat se haTa kar nahin dekha

Ramz Azimabadi

MORE BYRamz Azimabadi

    parda ruḳh-e-fitrat se haTā kar nahīñ dekhā

    manzar pe nazar thī pas-e-manzar nahīñ dekhā

    ansār ke ḳhanjar pe muhājir lahū hai

    tārīḳh ne aisā kabhī manzar nahīñ dekhā

    patthar siyāsat se jo mahfūz rahā ho

    aisā kisī shīshe muqaddar nahīñ dekhā

    thī dastaras-e-fikr meñ vo sā.at-e-ḳhush-rañg

    ḳhushbū badan thā use chhū kar nahīñ dekhā

    vo shahr ke hañgāmoñ meñ ḳhāmosh khaḌī hai

    shāyad shab-e-hijrāñ ne mirā ghar nahīñ dekhā

    tarshe to sanam pighle to shīshe nazākat

    ai kam-nazro tum ne vo patthar nahīñ dekhā

    jhukne nahīñ detī hai anā tishna-labī ko

    dariyā taraf maiñ ne palaT kar nahīñ dekhā

    hai us ko bahut quvvat-e-bāzū pe bharosā

    dariyā ke shanāvar ne samundar nahīñ dekhā

    hai ġham se labrez to phir kaisī masarrat

    kyā ne mirā zarf-e-muqaddar nahīñ dekhā

    parda ruKH-e-fitrat se haTa kar nahin dekha

    manzar pe nazar thi pas-e-manzar nahin dekha

    ansar ke KHanjar pe muhajir ka lahu hai

    tariKH ne aisa kabhi manzar nahin dekha

    patthar ki siyasat se jo mahfuz raha ho

    aisa kisi shishe ka muqaddar nahin dekha

    thi dastaras-e-fikr mein wo saat-e-KHush-rang

    KHushbu ka badan tha use chhu kar nahin dekha

    wo shahr ke hangamon mein KHamosh khaDi hai

    shayad shab-e-hijran ne mera ghar nahin dekha

    tarshe to sanam pighle to shishe ki nazakat

    ai kam-nazro tum ne wo patthar nahin dekha

    jhukne nahin deti hai ana tishna-labi ko

    dariya ki taraf main ne palaT kar nahin dekha

    hai us ko bahut quwwat-e-bazu pe bharosa

    dariya ke shanawar ne samundar nahin dekha

    hai gham hi se labrez to phir kaisi masarrat

    kya tu ne mera zarf-e-muqaddar nahin dekha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now