Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parda uTha kar ruKH ko ayan us shoKH ne jis hangam kiya

Nazeer Akbarabadi

parda uTha kar ruKH ko ayan us shoKH ne jis hangam kiya

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    parda uThā kar ruḳh ko ayaañ us shoḳh ne jis hañgām kiyā

    ham to rahe mashġhūl udhar yaañ ishq ne dil kaam kiyā

    aa ga.e jab sayyād ke bas meñ soch kiye phir hāsil kyā

    ab to usī Thahrī marzī jin ne asīr-e-dām kiyā

    chashm ne chhīnā palkoñ ne chedā zulf ne bāñdhā dil ko aah

    abrū ne aisī teġh jaḌī jo qissa sab itmām kiyā

    saḳht ḳhajil haiñ aur sharminda rah rah kar pachtāte haiñ

    ḳhvāb meñ us se raat laḌe ham kyā ḳhayāl-e-ḳhām kiyā

    chhoḌ diyā jab ham ne sanam ke kūche meñ āne-jāne ko

    phir to udhar is shoḳh ne ham se shikva bharā paiġhām kiyā

    aur idhar se chāhat bhī yuuñ hañs kar bolī vaah vaah

    uThiye chaliye yaar se miliye ab to bahut ārām kiyā

    yaar mai-gūñ chashm ne apnī ek nigah se ham ko 'nazīr'

    mast kiyā aubāsh banāyā rind kiyā badnām kiyā

    parda uTha kar ruKH ko ayan us shoKH ne jis hangam kiya

    hum to rahe mashghul udhar yan ishq ne dil ka kaam kiya

    aa gae jab sayyaad ke bas mein soch kiye phir hasil kya

    ab to usi ki Thahri marzi jin ne asir-e-dam kiya

    chashm ne chhina palkon ne cheda zulf ne bandha dil ko aah

    abru ne aisi tegh jaDi jo qissa hi sab itmam kiya

    saKHt KHajil hain aur sharminda rah rah kar pachtate hain

    KHwab mein us se raat laDe hum kya hi KHayal-e-KHam kiya

    chhoD diya jab hum ne sanam ke kuche mein aane-jaane ko

    phir to udhar is shoKH ne hum se shikwa bhara paigham kiya

    aur idhar se chahat bhi yun hans kar boli wah ji wah

    uThiye chaliye yar se miliye ab to bahut aaram kiya

    yar ki mai-gun chashm ne apni ek nigah se hum ko 'nazir'

    mast kiya aubash banaya rind kiya badnam kiya

    Source:

    Deewan-e-Nazeer Akbarabadi (Pg. page-17 ebook-139)

      • Edition: 1942
      • Publisher: Anjuman Taraqqi Urdu (Hind), Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now