Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parda uTha ke mehr ko ruKH ki jhalak dikha ki yun

Mushafi Ghulam Hamdani

parda uTha ke mehr ko ruKH ki jhalak dikha ki yun

Mushafi Ghulam Hamdani

MORE BYMushafi Ghulam Hamdani

    parda uThā ke mehr ko ruḳh jhalak dikhā ki yuuñ

    baaġh meñ ke sarv ko qad lachak dikhā ki yuuñ

    ātish-e-gul chaman ke biich jab hama ho shola-zan

    apne libās-e-surḳh us ko bhaḌak dikhā ki yuuñ

    jo koī pūchhe jān-e-man shoḳhī o jalva kis tarah

    lama-e-barq tarah ek jhamak dikhā ki yuuñ

    shīshe ke biich duḳht-e-raz kartī hai shoḳh-chashmiyāñ

    bhī Tuk apnī chashm us ko bhaḌak dikhā ki yuuñ

    nazreñ milāve gar koī tujh se kabhī to jān-e-man

    us ke ta.iiñ duur se āñkheñ tanik dikhā ki yuuñ

    kabk o tadrau gar kareñ aage tire ḳhirām-e-nāz

    apne ḳhirām-e-nāz un ko laTak dikhā ki yuuñ

    rātoñ ko tujh se jāgnā gar koī pūchhe 'mus.hafī'

    chasm-e-sitāra baaz haiñ us ko falak dikhā ki yuuñ

    parda uTha ke mehr ko ruKH ki jhalak dikha ki yun

    bagh mein ja ke sarw ko qad ki lachak dikha ki yun

    aatish-e-gul chaman ke bich jab hama su ho shola-zan

    apne libas-e-surKH ki us ko bhaDak dikha ki yun

    jo koi puchhe jaan-e-man shoKHi o jalwa kis tarah

    lama-e-barq ki tarah ek jhamak dikha ki yun

    shishe ke bich duKHt-e-raz karti hai shoKH-chashmiyan

    tu bhi Tuk apni chashm ki us ko bhaDak dikha ki yun

    nazren milawe gar koi tujh se kabhi to jaan-e-man

    us ke tain tu dur se aankhen tanik dikha ki yun

    kabk o tadrau gar karen aage tere KHiram-e-naz

    apne KHiram-e-naz ki un ko laTak dikha ki yun

    raaton ko tujh se jagna gar koi puchhe 'mushafi'

    chasm-e-sitara baz hain us ko falak dikha ki yun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now