aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

parde ko jo lau de wo jhalak aur hi kuchh hai

Anand Narayan Mulla

parde ko jo lau de wo jhalak aur hi kuchh hai

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    parde ko jo lau de vo jhalak aur kuchh hai

    nādīda hai sho.ala to lapak aur kuchh hai

    Takrāte hue jaam bhī dete haiñ khanak

    laḌtī haiñ nigāheñ to khanak aur kuchh hai

    ishrat-gah-e-daulat bhī hai gahvāra-e-nik.hat

    mehnat ke pasīne mahak aur kuchh hai

    haañ josh javānī bhī hai ik ḳhuld-e-nazāra

    ik tifl ma.asūm humak aur kuchh hai

    shab ko bhī mahaktī to haiñ ye adh-khilī kaliyāñ

    jab chuum leñ kirneñ to mahak aur kuchh hai

    kamzor to jhuktā hai qānūn ke aage

    tāqat kabhī lachke to lachak aur kuchh hai

    ashkoñ se bhī ho jaatā hai āñkhoñ meñ charāġhāñ

    bin-barsī nigāhoñ chamak aur kuchh hai

    ro kar bhī thake jism ko niiñd aatī hai lekin

    bachche ke liye maañ thapak aur kuchh hai

    bazm-e-adab-e-hind ke har gul meñ hai ḳhushbū

    'mullā' gul-e-urdu mahak aur kuchh hai

    parde ko jo lau de wo jhalak aur hi kuchh hai

    nadida hai shoala to lapak aur hi kuchh hai

    Takraate hue jam bhi dete hain khanak si

    laDti hain nigahen to khanak aur hi kuchh hai

    ishrat-gah-e-daulat bhi hai gahwara-e-nikhat

    mehnat ke pasine ki mahak aur hi kuchh hai

    han josh jawani bhi hai ek KHuld-e-nazara

    ek tifl ki masum humak aur hi kuchh hai

    shab ko bhi mahakti to hain ye adh-khili kaliyan

    jab chum len kirnen to mahak aur hi kuchh hai

    kamzor to jhukta hi hai qanun ke aage

    taqat kabhi lachke to lachak aur hi kuchh hai

    ashkon se bhi ho jata hai aankhon mein charaghan

    bin-barsi nigahon ki chamak aur hi kuchh hai

    ro kar bhi thake jism ko nind aati hai lekin

    bachche ke liye man ki thapak aur hi kuchh hai

    bazm-e-adab-e-hind ke har gul mein hai KHushbu

    'mulla' gul-e-urdu ki mahak aur hi kuchh hai

    Source:

    Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 688)

    • Author: Anand Narayan Mulla
      • Edition: 2010
      • Publisher: National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now