Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pareshan-KHatiri mein lab pe kyon aae dua meri

Nazeer Mirza Barlas

pareshan-KHatiri mein lab pe kyon aae dua meri

Nazeer Mirza Barlas

MORE BYNazeer Mirza Barlas

    pareshāñ-ḳhātirī meñ lab pe kyoñ aa.e duā merī

    na rusvā-e-jahān-e-ārzū hogī vafā merī

    mujhe ahd-e-guzishta vafā.eñ yaad aatī haiñ

    mirī is intihā se ḳhuub thī vo ibtidā merī

    mirī fitrat maqsad hai taġhayyur-āshnā rahnā

    na ġham mustaqil merā na rāhat der-pā merī

    muqaddar meñ nahīñ hai kāmrān-e-ārzū honā

    sazā-vār-e-ijābat ho nahīñ saktī duā merī

    'nazīr' apne junūñ shoḳhiyāñ haiñ yaad ab tak bhī

    tabī.at thī qayāmat sukūñ-nā-āshnā merī

    pareshan-KHatiri mein lab pe kyon aae dua meri

    na ruswa-e-jahan-e-arzu hogi wafa meri

    mujhe ahd-e-guzishta ki wafaen yaad aati hain

    meri is intiha se KHub thi wo ibtida meri

    meri fitrat ka maqsad hai taghayyur-ashna rahna

    na gham hi mustaqil mera na rahat der-pa meri

    muqaddar mein nahin hai kaamran-e-arzu hona

    saza-war-e-ijabat ho nahin sakti dua meri

    'nazir' apne junun ki shoKHiyan hain yaad ab tak bhi

    tabiat thi qayamat ki sukun-na-ashna meri

    Source:

    Tarh-e-Nau (Pg. 54)

    • Author: Nazeer Mirza Barlas
      • Publisher: Maktaba Urdu, Lahore
      • Year of Publication: 1941
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now