aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka

Asad Ali Khan Qalaq

partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka

Asad Ali Khan Qalaq

MORE BYAsad Ali Khan Qalaq

    partav paḌā jo āriz-e-gulgūn-e-yār

    uThā tanūr-e-lāla se tūfāñ bahār

    ham-chashm laala hai jo dil-e-dāġh-dār

    nargis ko ham āriza hai intizār

    likhtā hai vasf sho.ala-e-ruḳhsār-e-yār

    jā-e-varaq ho haath meñ pattā chīnār

    bīmār-e-ishq huuñ lab-o-dandān-e-yār

    nusḳhe meñ mere chāhiye sharbat anaar

    rishte tarah se dur-e-dandāñ tere zaar

    sākin hai kūcha-e-guhar-e-āb-dār

    āsār-e-ishq-e-ḳhāk se bhī apne haiñ ayaañ

    be-vaj.h rañg zard nahīñ hai ġhubār

    har zarra apnī ḳhaak hai chashm-e-intizār

    yārab idhar bhī ho guzar us shahsavār

    ham āsiyoñ ko ba.ad-e-fanā bhī ye ḳhauf hai

    taḳhta ulaT na jaa.e zamīn-e-mazār

    kaliyāñ talak na niklī thiiñ jab se asiir huuñ

    dekhā mazā na kuchh chaman-e-rozgār

    chashmān-e-yār karne lagīñ haiñ diloñ ko said

    in āhuoñ ko shauq huā hai shikār

    vo dil-jale haiñ sho.ala-e-javvāla ban gayā

    uTThā jo gard-e-bād hamāre ġhubār

    yād-e-mizha ne bāġh-e-dil-e-dāġh-dār meñ

    khaTkā lagā diyā ḳhalish-e-nok-e-ḳhār

    kushta huuñ ek tark ke tīr-e-nigāh

    andāz-e-murġh dil meñ hai zaḳhmī shikār

    raḳht-e-safed sūrat-e-mīnā-e-mai hai surḳh

    kyā rañg phuuT niklā hai andām-e-yār

    phūloñ pyāla ho labrez phuul se

    tiijā hai mai-kasho 'qalaq'-e-bāda-ḳhvār

    partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka

    uTha tanur-e-lala se tufan bahaar ka

    ham-chashm lala hai jo dil-e-dagh-dar ka

    nargis ko hum sa aariza hai intizar ka

    likhta hai wasf shoala-e-ruKHsar-e-yar ka

    ja-e-waraq ho hath mein patta chinar ka

    bimar-e-ishq hun lab-o-dandan-e-yar ka

    nusKHe mein mere chahiye sharbat anar ka

    rishte ki tarah se dur-e-dandan ka tere zar

    sakin hai kucha-e-guhar-e-ab-dar ka

    aasar-e-ishq-e-KHak se bhi apne hain ayan

    be-wajh rang zard nahin hai ghubar ka

    har zarra apni KHak ka hai chashm-e-intizar

    yarab idhar bhi ho guzar us shahsawar ka

    hum aasiyon ko baad-e-fana bhi ye KHauf hai

    taKHta ulaT na jae zamin-e-mazar ka

    kaliyan talak na nikli thin jab se asir hun

    dekha maza na kuchh chaman-e-rozgar ka

    chashman-e-yar karne lagin hain dilon ko said

    in aahuon ko shauq hua hai shikar ka

    wo dil-jale hain shoala-e-jawwala ban gaya

    uTTha jo gard-e-baad hamare ghubar ka

    yaad-e-mizha ne bagh-e-dil-e-dagh-dar mein

    khaTka laga diya KHalish-e-nok-e-KHar ka

    kushta hun ek tark ke tir-e-nigah ka

    andaz-e-murgh dil mein hai zaKHmi shikar ka

    raKHt-e-safed surat-e-mina-e-mai hai surKH

    kya rang phuT nikla hai andam-e-yar ka

    phulon ki ja pyala ho labrez phul se

    tija hai mai-kasho 'qalaq'-e-baada-KHwar ka

    Source:

    Mazhar-e-Ishq (Pg. e-31 p-29)

    • Author: Asad Ali Khan Qalaq
      • Edition: 1911
      • Publisher: Munshi Naval Kishor, Kanpur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now