parwana-sifat jaan ki parwa nahin karte
parvāna-sifat jaan kī parvā nahīñ karte
miT jaate haiñ vo 'ishq ko rusvā nahīñ karte
tum aur baḌhā dete ho uljhan mire dil kī
taskīn kī sūrat kabhī paidā nahīñ karte
ik maiñ huuñ tumhāre liye jaañ dene ko tayyār
ik tum ho ki vā'da kabhī iifā nahīñ karte
hai dafn mire siine meñ har rāz-e-mohabbat
mar jā.eñge par raaz ko ifshā nahīñ karte
ai 'mīr' koī chāra na thā is ke 'alāva
kyā karte jo ham terī tamanna nahīñ karte
parwana-sifat jaan ki parwa nahin karte
miT jate hain wo 'ishq ko ruswa nahin karte
tum aur baDha dete ho uljhan mere dil ki
taskin ki surat kabhi paida nahin karte
ek main hun tumhaare liye jaan dene ko tayyar
ek tum ho ki wa'da kabhi ifa nahin karte
hai dafn mere sine mein har raaz-e-mohabbat
mar jaenge par raaz ko ifsha nahin karte
ai 'mir' koi chaara na tha is ke 'alawa
kya karte jo hum teri tamanna nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.