Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pas-e-fasil zamanon ka intizar na ho

Akbar Masoom

pas-e-fasil zamanon ka intizar na ho

Akbar Masoom

MORE BYAkbar Masoom

    pas-e-fasīl zamānoñ intizār na ho

    ye shahr aur kisī shahr ġhubār na ho

    ye ḳhvāb bhī na kisī ḳhvāb ishāra ho

    ye niiñd aur kisī niiñd ḳhumār na ho

    ye dasht aur kisī dasht sarāb sahī

    ye baaġh aur kisī baaġh bahār na ho

    bahut dinoñ se yahī soch kar pareshāñ huuñ

    ki bhī mere gumāñ e'tibār na ho

    koī to vasl saa.at ho jo Thahar jaa.e

    koī to saañs luuñ aisī ki jo shumār na ho

    pas-e-fasil zamanon ka intizar na ho

    ye shahr aur kisi shahr ka ghubar na ho

    ye KHwab bhi na kisi KHwab ka ishaara ho

    ye nind aur kisi nind ka KHumar na ho

    ye dasht aur kisi dasht ka sarab sahi

    ye bagh aur kisi bagh ki bahaar na ho

    bahut dinon se yahi soch kar pareshan hun

    ki tu bhi mere guman hi ka e'tibar na ho

    koi to wasl ki saat ho jo Thahar jae

    koi to sans lun aisi ki jo shumar na ho

    Source:

    Pakistani Adab-1994 (Pg. 129)

      • Publisher: Academy Adabiyat Pakistan, Islamabad
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now