Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pas-e-gardun kisi ne nam bola tha hamara

imtiyaz Khan

pas-e-gardun kisi ne nam bola tha hamara

imtiyaz Khan

MORE BYimtiyaz Khan

    pas-e-gardūñ kisī ne naam bolā thā hamārā

    badan qaid se haa.e rihā honā hamārā

    yuuñ ḳhud ko chhoḌ kar nikle kisī justujū meñ

    hamīñ ne umr-bhar phir rāsta dekhā hamārā

    kisī aks ham par rah gayā aa.ine par

    ki apne-āp se chehra nahīñ miltā hamārā

    baḌī muddat se is dhuup jhele rahe haiñ

    paḌegā shams par bhī ek din saaya hamārā

    taḌaptī hai sisaktī hai yahāñ rah kar musalsal

    ye kis ruuh hai jis ne badan pahnā hamārā

    nishāne par dil-e-majrūh āḳhir kyuuñ hamesha

    sitamgar kyā tujhe ye sar nahīñ dikhtā hamārā

    banā ke rāz-e-dil har haal meñ vo shaḳhs ham ko

    rakhegā yaad par charchā nahīñ hogā hamārā

    pas-e-gardun kisi ne nam bola tha hamara

    badan ki qaid se hae riha hona hamara

    yun KHud ko chhoD kar nikle kisi ki justuju mein

    hamin ne umr-bhar phir rasta dekha hamara

    kisi ka aks hum par rah gaya ya aaine par

    ki apne-ap se chehra nahin milta hamara

    baDi muddat se is ki dhup jhele ja rahe hain

    paDega shams par bhi ek din saya hamara

    taDapti hai sisakti hai yahan rah kar musalsal

    ye kis ki ruh hai jis ne badan pahna hamara

    nishane par dil-e-majruh aaKHir kyun hamesha

    sitamgar kya tujhe ye sar nahin dikhta hamara

    bana ke raaz-e-dil har haal mein wo shaKHs hum ko

    rakhega yaad par charcha nahin hoga hamara

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now