aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pas-e-sukut suKHan ko KHabar banaya jae

Irfan Waheed

pas-e-sukut suKHan ko KHabar banaya jae

Irfan Waheed

MORE BYIrfan Waheed

    pas-e-sukūt suḳhan ko ḳhabar banāyā jaa.e

    fasīl-e-harf meñ ma.anī dar banāyā jaa.e

    hisāb-e-sūd-o-ziyāñ ho chukā bahut ab ke

    vufūr-e-shauq ko arz-e-hunar banāyā jaa.e

    lagan uḌaan dil meñ hanūz baaqī hai

    kaTe paroñ ko ab shāh-par banāyā jaa.e

    kisī paḌāv pe pahuñcheñge jab to socheñge

    abhī se kyā koī zād-e-safar banāyā jaa.e

    farāz-e-dār pe kar ke buland āḳhir-e-shab

    mire sar ko nishān-e-sahar banāyā jaa.e

    bahut tavīl huā silsila raqābat

    kabhī milo to use muḳhtasar banāyā jaa.e

    qadam qadam pe hai bastī meñ vahshiyoñ hujūm

    chalo kahīñ kisī sahrā meñ ghar banāyā jaa.e

    zamīr-e-nau-e-bashar kab se ho chukā ruḳhsat

    na.e ḳhamīr se taaza bashar banāyā jaa.e

    mafar muhāl hai qaid-e-makāñ se jab 'irfāñ'

    to kyuuñ na phir isī gumbad ko ghar banāyā jaa.e

    pas-e-sukut suKHan ko KHabar banaya jae

    fasil-e-harf mein mani ka dar banaya jae

    hisab-e-sud-o-ziyan ho chuka bahut ab ke

    wufur-e-shauq ko arz-e-hunar banaya jae

    lagan uDan ki dil mein hanuz baqi hai

    kaTe paron hi ko ab shah-par banaya jae

    kisi paDaw pe pahunchenge jab to sochenge

    abhi se kya koi zad-e-safar banaya jae

    faraaz-e-dar pe kar ke buland aaKHir-e-shab

    mere hi sar ko nishan-e-sahar banaya jae

    bahut tawil hua silsila raqabat ka

    kabhi milo to use muKHtasar banaya jae

    qadam qadam pe hai basti mein wahshiyon ka hujum

    chalo kahin kisi sahra mein ghar banaya jae

    zamir-e-nau-e-bashar kab se ho chuka ruKHsat

    nae KHamir se taza bashar banaya jae

    mafar muhaal hai qaid-e-makan se jab 'irfan'

    to kyun na phir isi gumbad ko ghar banaya jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now