Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pata chala ki meri zindagi mein likkha tha

Mujahid Faraaz

pata chala ki meri zindagi mein likkha tha

Mujahid Faraaz

MORE BYMujahid Faraaz

    patā chalā ki mirī zindagī meñ likkhā thā

    vo jis naam kabhī Diary meñ likkhā thā

    vo kis qabīle se hai kaun se gharāne se

    sab us ke lahje shā.istagī meñ likkhā thā

    nazar meñ aa.e bahut se saje bane chehre

    magar jo husn tirī sādgī meñ likkhā thā

    vo mujh ġharīb hālat pe aur kyā kahtā

    tamām zahr to us hañsī meñ likkhā thā

    ga.e dinoñ kahānī hai jab ra.īsoñ

    vaqār chaal āhistagī meñ likkhā thā

    'farāz' DhūñD rahe ho vafāoñ ḳhushbū

    ye zā.iqa kisī guzrī sadī meñ likkhā thā

    pata chala ki meri zindagi mein likkha tha

    wo jis ka nam kabhi Diary mein likkha tha

    wo kis qabile se hai kaun se gharane se

    sab us ke lahje ki shaistagi mein likkha tha

    nazar mein aae bahut se saje bane chehre

    magar jo husn teri sadgi mein likkha tha

    wo mujh gharib ki haalat pe aur kya kahta

    tamam zahr to us ki hansi mein likkha tha

    gae dinon ki kahani hai jab raison ka

    waqar chaal ki aahistagi mein likkha tha

    'faraaz' DhunD rahe ho wafaon ki KHushbu

    ye zaiqa kisi guzri sadi mein likkha tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now