Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

patta patta kyon hai dil afgar is gulzar ka

Sada Ambalvi

patta patta kyon hai dil afgar is gulzar ka

Sada Ambalvi

MORE BYSada Ambalvi

    patta patta kyoñ hai dil afgār is gulzār

    gul se gul barham hai kyoñ kyā hai sabab takrār

    sahme sahme se haiñ kyoñ sab ġhuncha-o-gul-barg aaj

    kis ne chhīnā hai guloñ ke lab se haq iz.hār

    zahr ko chhūT kis ne phailne har taraf

    ḳhushbuoñ par kyoñ kaḌā pahrā hai pahre-dār

    bulbuleñ hai be-surī ḳhabreñ ye kis ne haiñ gaḌhī

    kis ne kavve ko diyā hai martaba fankār

    kaun hai jis ne añdheroñ ko diyā hai iḳhtiyār

    rok lo puurī tarah se rāsta anvār

    gul khilāne salīqa to use aayā nahīñ

    naam gul hai rakh diyā bas bāġhbāñ ne ḳhaar

    baj rahā har bazm meñ ab raag darbārī faqat

    kis jur.at hai ki gaa.e raag ab malhār

    kyoñ hameñ un se tavaqqo' thī chaman-bandī uff

    vo jinheñ bas tajraba thā ġhārat-e-gulzār

    ho rahī hai bārish-e-ikrām bātil par mudām

    aur 'atā haq ko huā hai ab laqab ġhaddār

    dhañs rahā hai aur bhī ġhurbat meñ har ġhurbat-zada

    aur musalsal baḌh rahā hai māl-o-zar zar-dār

    khel chaltā hai siyāsat usī ke zar se jab

    kyoñ na ho sarkār meñ phir daḳhl sāhūkār

    kām-dhande to paḌe haiñ sab ke sab Thap āj-kal

    garm hai bāzār bas nafrat ke kārobār

    sar jhukānā mat kabhī zulm-o-sitam ke sāmne

    hai 'sadā' kāñdhe pe tere sar agar sardār

    patta patta kyon hai dil afgar is gulzar ka

    gul se gul barham hai kyon kya hai sabab takrar ka

    sahme sahme se hain kyon sab ghuncha-o-gul-barg aaj

    kis ne chhina hai gulon ke lab se haq izhaar ka

    zahr ko di chhuT kis ne phailne ki har taraf

    KHushbuon par kyon kaDa pahra hai pahre-dar ka

    bulbulen hai be-suri KHabren ye kis ne hain gaDhi

    kis ne kawwe ko diya hai martaba fankar ka

    kaun hai jis ne andheron ko diya hai iKHtiyar

    rok lo puri tarah se rasta anwar ka

    gul khilane ka saliqa to use aaya nahin

    nam gul hai rakh diya bas baghban ne KHar ka

    baj raha har bazm mein ab rag darbari faqat

    kis ki jurat hai ki gae rag ab malhaar ka

    kyon hamein un se tawaqqo' thi chaman-bandi ki uff

    wo jinhen bas tajraba tha ghaarat-e-gulzar ka

    ho rahi hai barish-e-ikram baatil par mudam

    aur 'ata haq ko hua hai ab laqab ghaddar ka

    dhans raha hai aur bhi ghurbat mein har ghurbat-zada

    aur musalsal baDh raha hai mal-o-zar zar-dar ka

    khel chalta hai siyasat ka usi ke zar se jab

    kyon na ho sarkar mein phir daKHl sahukar ka

    kaam-dhande to paDe hain sab ke sab Thap aaj-kal

    garm hai bazar bas nafrat ke karobar ka

    sar jhukana mat kabhi zulm-o-sitam ke samne

    hai 'sada' kandhe pe tere sar agar sardar ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now