Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

patthar paDe hue kahin rasta bana hua

Rashid Ameen

patthar paDe hue kahin rasta bana hua

Rashid Ameen

MORE BYRashid Ameen

    patthar paḌe hue kahīñ rasta banā huā

    hāthoñ meñ tere gaañv naqsha banā huā

    āñkhoñ aabjū ke kināre kisī aks

    paanī meñ lag rahā hai parinda banā huā

    sahrā garm dhuup meñ bāġh-e-bahisht hai

    tinkoñ se tere haath pañkhā banā huā

    sandal ke itr se tirī mehñdī guñdhī huī

    sone ke taar se mirā sehrā banā huā

    yādoñ se le rahā huuñ hinā.ī mahak lutf

    Table pe rakh ke lauñg qahva banā huā

    mele meñ nāchtī huī jaTTī ke raqs par

    yāroñ ke darmiyān hai jhagḌā banā huā

    patthar paDe hue kahin rasta bana hua

    hathon mein tere ganw ka naqsha bana hua

    aankhon ki aabju ke kinare kisi ka aks

    pani mein lag raha hai parinda bana hua

    sahra ki garm dhup mein bagh-e-bahisht hai

    tinkon se tere hath ka pankha bana hua

    sandal ke itr se teri mehndi gundhi hui

    sone ke tar se mera sehra bana hua

    yaadon se le raha hun hinai mahak ka lutf

    Table pe rakh ke laung ka qahwa bana hua

    mele mein nachti hui jaTTi ke raqs par

    yaron ke darmiyan hai jhagDa bana hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now