Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pattharon ki qaid mein ek aabju

Wazir Agha

pattharon ki qaid mein ek aabju

Wazir Agha

MORE BYWazir Agha

    pattharoñ qaid meñ ik aabjū

    be-karāñ niilā samundar chaar

    reza reza ho gayā huuñ maiñ agar

    chuur vo bhī ho chukā hai mū-ba-mū

    yaad be-nām ab lams aur

    mere andar mushk-bū mushk-bū

    oḌh leñ ab raat ThanDak tamām

    hai isī meñ terī merī aabrū

    kaun thā jis ne mujhe tanhā kiyā

    chhīn kar mujh se tumhārī aarzū

    kyā nazar aaya hai tujh ko abr meñ

    kyoñ huā hai is qadar bīmār

    phuul rekhā meñ us ne dekh kar

    khīñch tasvīr merī hū-ba-hū

    phuul ḳhushbū rang kāġhaz aur maiñ

    ho rahī hai be-sadā ik guftugū

    aks-andar-aks maiñ aa.uuñ nazar

    agar aa jaa.e mere rū-ba-rū

    pattharon ki qaid mein ek aabju

    be-karan nila samundar chaar su

    reza reza ho gaya hun main agar

    chur wo bhi ho chuka hai mu-ba-mu

    yaad ka be-nam sa ab lams aur

    mere andar mushk-bu hi mushk-bu

    oDh len ab raat ki ThanDak tamam

    hai isi mein teri meri aabru

    kaun tha jis ne mujhe tanha kiya

    chhin kar mujh se tumhaari aarzu

    kya nazar aaya hai tujh ko abr mein

    kyon hua hai is qadar bimar tu

    phul ki rekha mein us ne dekh kar

    khinch di taswir meri hu-ba-hu

    phul KHushbu rang kaghaz aur main

    ho rahi hai be-sada ek guftugu

    aks-andar-aks main aaun nazar

    tu agar aa jae mere ru-ba-ru

    Source:

    Pakistani Adab-1994 (Pg. 216)

      • Publisher: Academy Adabiyat Pakistan, Islamabad
      • Year of Publication: 1994
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now