pattiyan apni gira kar raat bhar roya daraKHt

pattiyan apni gira kar raat bhar roya daraKHt
Mahender Kumar Sani
MORE BYMahender Kumar Sani
pattiyāñ apnī girā kar raat bhar royā daraḳht
shaam kī sar-sar havā meñ us ne jab khoyā daraḳht
raat bhar jaagā kisī kī yaad meñ girya kiyā
sub.h sūraj sar pe aa pahuñchā to phir soyā daraḳht
ḳhvāhishoñ kī dhuup ne jhulsā diyā saarā badan
maiñ ne apnī ruuh meñ ik sabr kā boyā daraḳht
jin rutoñ meñ aag barsī thī usī meñ ek roz
maiñ numū hotā gayā barsāt meñ goyā daraḳht
us kī shāḳhoñ par ḳhushī kī phungiyāñ aane ko haiñ
raat bhar rahmat ne 'sānī' is qadar dhoyā daraḳht
pattiyan apni gira kar raat bhar roya daraKHt
sham ki sar-sar hawa mein us ne jab khoya daraKHt
raat bhar jaga kisi ki yaad mein girya kiya
subh suraj sar pe aa pahuncha to phir soya daraKHt
KHwahishon ki dhup ne jhulsa diya sara badan
main ne apni ruh mein ek sabr ka boya daraKHt
jin ruton mein aag barsi thi usi mein ek roz
main numu hota gaya barsat mein goya daraKHt
us ki shaKHon par KHushi ki phungiyan aane ko hain
raat bhar rahmat ne 'sani' is qadar dhoya daraKHt
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 102)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.