peD aangan ke tere jab barwar ho jaenge
peḌ āñgan ke tire jab bārvar ho jā.eñge
dostoñ ke haath ke patthar idhar ho jā.eñge
mere ashkoñ ke ye qatre laakh be-qīmat sahī
jab tire dāman pe Tapkeñge guhar ho jā.eñge
kyā ḳhabar thī ham idhar ghar meñ jalā.eñge charāġh
us taraf jhoñke havā ke bā-ḳhabar ho jā.eñge
is jahān-e-be-amāñ meñ barg-e-āvāra haiñ ham
jab chalegī tez āñdhī dar-ba-dar ho jā.eñge
zulmatoñ se haar māneñge na ai 'āzād' ham
ḳhud farozāñ ho ke sham-e-rahguzar ho jā.eñge
peD aangan ke tere jab barwar ho jaenge
doston ke hath ke patthar idhar ho jaenge
mere ashkon ke ye qatre lakh be-qimat sahi
jab tere daman pe Tapkenge guhar ho jaenge
kya KHabar thi hum idhar ghar mein jalaenge charagh
us taraf jhonke hawa ke ba-KHabar ho jaenge
is jahan-e-be-aman mein barg-e-awara hain hum
jab chalegi tez aandhi dar-ba-dar ho jaenge
zulmaton se haar manenge na ai 'azad' hum
KHud farozan ho ke sham-e-rahguzar ho jaenge
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 528)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.