Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

peT ki aag mein barbaad jawani kar ke

Zakir Khan Zakir

peT ki aag mein barbaad jawani kar ke

Zakir Khan Zakir

MORE BYZakir Khan Zakir

    peT aag meñ barbād javānī kar ke

    panchhī lauTe haiñ abhī naql-e-makānī kar ke

    ḳhāna-e-dil meñ ghaḌī-bhar ko Thaharnā hai unheñ

    phir guzar jā.eñge har baat purānī kar ke

    'ishq iz.hār tālib hai na matlūb-e-nazar

    fā.eda kyā hai miyāñ sho.ala-bayānī kar ke

    ab vahāñ ḳhaak uḌā kartī hai armānoñ

    ham chale aa.e the manzil pe nishānī kar ke

    paar lag jā.egā sāñsoñ safīna ik roz

    dhaḌkanoñ meñ tirī yādoñ se ravānī kar ke

    chand lamhoñ mirā us safar thā aisā

    raat ho jaise kahīñ shaam suhānī kar ke

    us nazroñ meñ haqīqat hai fasāna 'zākir'

    chhoḌ jā.egā mujhe ab vo kahānī kar ke

    peT ki aag mein barbaad jawani kar ke

    panchhi lauTe hain abhi naql-e-makani kar ke

    KHana-e-dil mein ghaDi-bhar ko Thaharna hai unhen

    phir guzar jaenge har baat purani kar ke

    'ishq izhaar ka talib hai na matlub-e-nazar

    faeda kya hai miyan shoala-bayani kar ke

    ab wahan KHak uDa karti hai armanon ki

    hum chale aae the manzil pe nishani kar ke

    par lag jaega sanson ka safina ek roz

    dhaDkanon mein teri yaadon se rawani kar ke

    chand lamhon ka mera us ka safar tha aisa

    raat ho jaise kahin sham suhani kar ke

    us ki nazron mein haqiqat hai fasana 'zakir'

    chhoD jaega mujhe ab wo kahani kar ke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now