Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

phailae jab dam hawas ne rasm-e-mohabbat aam hui

Rishi Patialvi

phailae jab dam hawas ne rasm-e-mohabbat aam hui

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    phailā.e jab daam havas ne rasm-e-mohabbat aam huī

    past huā me.aar vafā ik duniyā badnām huī

    dil ne kaam liyā āñkhoñ se ḳhāmoshī paiġhām huī

    jalvoñ kasrat ke aage tāb-e-nazar nākām huī

    dekhe haiñ dastūr nirāle ham ne vādī-e-ulfat meñ

    rāheñ jab āsān huiiñ to sa.ī-e-talab nākām huī

    chaltī haiñ kis tadbīreñ khel haiñ sab taqdīroñ ke

    shaam kisī sub.h meñ badlī sub.h kisī shaam huī

    mahfil mahfil bāteñ niklīñ kyā kyā charche aam hue

    terā adā-e-kam-āmezī kis had tak badnām huī

    avval avval vahm-e-davā ne lutf-e-sukūñ barbād kiyā

    āḳhir āḳhir dard daulat ulfat in.aam huī

    mahv huā dīdār talab dil aisā un ke jalvoñ meñ

    goyā mil kar bhī milne baat barā.e-nām huī

    kyā jaane kyuuñ dil ne terī yaad dāman thaam liyā

    majbūrī āġhāz huī jab nākāmī anjām huī

    kyā kahiye kis kis nazar ne bad-zauqī ko aam kiyā

    un nazroñ ke hote kyuuñ duniyā ġharq-e-jām huī

    fikr-e-ġham-o-ālām 'rishī' hai goyā naam judā.ī

    un mahfil meñ kab dil ko fikr-e-ġham-o-ālām huī

    phailae jab dam hawas ne rasm-e-mohabbat aam hui

    past hua mear wafa ka ek duniya badnam hui

    dil ne kaam liya aankhon se KHamoshi paigham hui

    jalwon ki kasrat ke aage tab-e-nazar nakaam hui

    dekhe hain dastur nirale hum ne wadi-e-ulfat mein

    rahen jab aasan huin to sai-e-talab nakaam hui

    chalti hain kis ki tadbiren khel hain sab taqdiron ke

    sham kisi ki subh mein badli subh kisi ki sham hui

    mahfil mahfil baaten niklin kya kya charche aam hue

    tera ada-e-kam-amezi kis had tak badnam hui

    awwal awwal wahm-e-dawa ne lutf-e-sukun barbaad kiya

    aaKHir aaKHir dard ki daulat ulfat ka inam hui

    mahw hua didar talab dil aisa un ke jalwon mein

    goya mil kar bhi milne ki baat barae-nam hui

    kya jaane kyun dil ne teri yaad ka daman tham liya

    majburi aaghaz hui jab nakaami anjam hui

    kya kahiye kis kis ki nazar ne bad-zauqi ko aam kiya

    un ki nazron ke hote kyun duniya gharq-e-jam hui

    fikr-e-gham-o-alam 'rishi' hai goya nam judai ka

    un ki mahfil mein kab dil ko fikr-e-gham-o-alam hui

    Source:

    Chhid Gai Jo Bat Unki (Pg. 30)

    • Author: Rishi Patialvi
      • Edition: 1980
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1980
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now